ban men rain basera hota
main jaaga tu soya hota
mera haat aur us ka daman
kaash kisi din aisa hota
tu gadde ki raani banti
main bhangḌe ka raaja hota
tere chehre ke darpan men
aks miri chahat ka hota
saḳht saza dene se pahle
sach kya hai samjhaya hota
ghar men tu daftar ki uljhan
saath na apne laaya hota
un ke saat kabhi to ‘badal’
ik thali men khaya hota
Leave a Reply