abhi is fikr se nikla nahin huun
main kya huun aur aḳhir kya nahin huun
mujhe tum mere mausam hi men paḌhna
nisab-e-nasl-e-a.inda nahin huun
vafadari kinaron se jo badle
main dariyaon ka vo rasta nahin huun
jo dil ki dhaḌkanon ki ham-nava hai
usi avaz par palTa nahin huun
bahut se mas.ale hain zindagi men
magar tujh ko to main bhula nahin huun
main teri dastaras men to nahin tha
tire imkan men bhi kya nahin huun
bahut socha tire nazdik aa kar
main tere paas huun bhi ya nahin huun
jo duniya tujh se vaqif hi nahin hai
main us duniya ka bashinda nahin huun
Leave a Reply