mai-kada mere liye ja-e-tasadum to nahin
laakh nashsha hai magar hosh mire gum to nahin
mo’tariz kyuun hai zamana miri betabi par
ḳhamushi ki hi ada hai ye takallum to nahin
kyuun safina miri hasti ka ho gharqab-e-fana
jazr-o-mad dil ka hai dariya ka talatum to nahin
ab ḳhata-kosh na hon mujh ko ye tambih bhi hai
ai ḳhata-posh ye kuchh shan-e-tarahhum to nahin
us ki fariyad ka kyuun tum pe asar hota hai
aur koi hai ‘munavar’ ka ḳhuda tum to nahin
Leave a Reply