• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aasman Mil Na Saka Dharti Pe Aaya Na Gaya

Aasman Mil Na Saka Dharti Pe Aaya Na Gaya

asman mil na saka dharti pe aaya na gaya

zindagi ham se koi Thaur banaya na gaya

as.man mujh se miyan hujre men laaya na gaya

sha.iri chhoḌ di mafhum churaya na gaya

naukri kii, likhi nazmen, sukun paaya na gaya

shahr-e-dil tujh ko kisi taur basaya na gaya

ghar ki viraniyan rusva huiin bekar men hi

mujh se bazar men bhi vaqt bitaya na gaya

josh men Dha to di rishte ki imarat lekin

donon se aaj talak malba haTaya na gaya

ḳhuun ke daagh na aa jaa.en mire lahje men

is liye ghazlon ko aḳhbar banaya na gaya

dikh na jaa.e tu bichhaḌti hui bas is Dar se

mujh se ankhon ko koi ḳhvab dikhaya na gaya

apna hissa bhi to manga hai zamin se main ne

as.man yuun hi mire sar pe giraya na gaya

jo tiri yaad ke panchhi na ruke kya hai ajab

umr bhar dil men to tujh ko bhi biThaya na gaya

zaat maz.hab ki zaban naam usi ke to hain sab

ḳhud ko jis qaid se ta-umr chhuḌaya na gaya

ḳhaak dariya ke kinaron ko mila.unga main

ḳhud ko hi aaj talak ḳhud se milaya na gaya

mera iman hua ḳharch jise paane men

kya ghazab hoga jo us shai ko bachaya na gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zindagi Ki Yahi Kahani Hai

Jab Bhi Uski Misal Deti Ho

poet

Ye Kis Ko Jag Jag Ke Taron Ki Chhanw Mein

poet

duniya Mein Ibaadat Ko Teri Aae Hue Hain

Meri Be-Qarari Meri Aah-O-Zari Ye Wahshat Nahin Hai to Phir Aur Kya Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet