kar diya zaar gham-e-ishq ne aisa mujh ko
maut aai bhi to bistar pe na paaya mujh ko
kabhi jangal kabhi basti men phiraya mujh ko
aah kya kya na kiya ishq ne rusva mujh ko
dushman-e-jan hua dar-parda mira jazba-e-ishq
munh chhupane lage vo jaan ke shaida mujh ko
roz-e-raushan ho na kyunkar miri ankhon men siyah
hai tire gesu-e-shab-rang ka sauda mujh ko
ik pari-ru ki mohabbat ka main huun divana
na pari ka na kisi jin ka hai saaya mujh ko
roz-o-shab shokh ne kya kya na dikhae nairang
rukh dikhaya kabhi gesu-e-chalipa mujh ko
din bhale aae to aada sabab-e-khair hue
bad-dua ne kiya aghyar ki achchha mujh ko
fakhr se bazm-e-butan men vo kaha karte hain
pyaar kuchh rose se ab karte hain ‘raana’ mujh ko
Leave a Reply