den dida-e-ḳhush-ḳhvab ko ta.abir kahan tak
ai vaqt tire jabr ki tauqir kahan tak
kab tak ki kaho jazba-e-tamir ko taḳhrib
ai ahl-e-safa jhuuT ki tash.hir kahan tak
ab dost banane ka hunar bhi zara sikhen
ki ja-e-mah-o-najm ki tasḳhir kahan tak
ai shahr-e-ana tere farebon ke bharam men
a.ina-misalon ki ho tahqir kahan tak
har aan koi mujh men naya TuuT raha hai
aḳhir koi ḳhud ko kare ta.amir kahan tak
Leave a Reply