kiya hai sandalin-rangon ne dar band
mira ho kis tarah se dard-e-sar band
nahin hain tere dam-e-zulf men dil
latakte hain hazaron murgh par-band
nahin but-khana o kaaba pe mauquf
hua har ek patthar men sharar band
raqibon se hui hai bazm khali
karo darvaza be-khauf-o-khatar band
tamasha band ankhon men hai mujh ko
hui meri ba-zahir chashm-e-tar band
nahin duniya men azadi kisi ko
hai din men shams aur shab ko qamar band
dikhao mai-kasho ab zor-e-masti
kiya zahid ne mai-khane ka dar band
dar-e-janan bhi ik marjaa hai ‘bahram’
hujum-e-ashiqan hai rahguzar band
Leave a Reply