badshahon ko sikhaya hai qalandar hona
aap asan samajhte hain munavvar hona
ek aansu bhi hukumat ke liye khatra hai
tum ne dekha nahin ankhon ka samundar hona
sirf bachchon ki mohabbat ne qadam rok liye
varna asan tha mere liye be-ghar hona
ham ko maalum hai shohrat ki bulandi ham ne
qabr ki mitti ka dekha hai barabar hona
is ko qismat ki kharabi hi kaha jaega
aap ka shahr men aana mira bahar hona
sochta huun to kahani ki tarah lagta hai
raste se mira takna tira chhat par hona
mujh ko qismat hi pahunchne nahin deti varna
ek eazaz hai us dar ka gadagar hona
sirf tarikh batane ke liye zinda huun
ab mira ghar men bhi hona hai calendar hona
Leave a Reply