• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Wo Ghar Raha Na Wo Baam-O-Dar Na Wo Chilmanen Na Wo Palki

Na Wo Ghar Raha Na Wo Baam-O-Dar Na Wo Chilmanen Na Wo Palki

na vo ghar raha na vo bam-o-dar na vo chilmanen na vo palki

magar ab bhi meri zaban pe hai vahi dastan sin-o-sal ki

chalo bal-o-par ko sameT len karen fikr ab kisi Daal ki

ye ghurub-e-mehr ka vaqt hai ye ghaḌi hai din ke zaval ki

sabhi mausamon se guzar gaya koi bojh dil pe liye hue

mujhe raas aa.i na rut koi na vo hijr ki na visal ki

tha dilon ka ye bhi ik imtihan ki takallufat the darmiyan

mujhe Dar tha us ke javab ka use fikr mere saval ki

jo chale to rah-e-aman nahin jo ruke to manzilen kho ga.iin

tiri rahguzar bhi ajiib hai tiri manzilen bhi kamal ki

mire zaḳhm saare mahak uThe jo chali hava-e-nihal-e-gham

koi dasht-e-jan se guzar gaya uThi gard tere ḳhayal ki

vo mujhe mila bhi to is tarah milen jaise shams-o-qamar ‘ziya’

tha jo lamha is ke uruuj ka vo ghaḌi thi mere zaval ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ek Ajab Humne Majra Dekha

Junun Ki Sarparasti Chahti Hai

poet

Ishq dariya Hai Giran-Bar Na Jaane Koi

poet

Rakho Wo Shewa Na Madd-E-Nazar Nazar Mein Rahe

KHamushi Ko Sada Mein Rakkha Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet