main apne kaam agar vaqt par nahin karta
to kamyabi ka parvat bhi sar nahin karta
hasin ḳhvab agar dil men ghar nahin karta
tavil raat se main dar-guzar nahin karta
sikha diya hai mujhe gham ne zindagi ka hunar
kisi bhi haal men ab aankh tar nahin karta
gire zamin pe dastar sar ke jhukne se
main hukmaran ko salam is qadar nahin karta
main apne azm ki patvar saath rakhta huun
mire safine pe tufan asar nahin karta
ghurur saath men chalta hai har ghaḌi us ke
vo ab amiir hai tanha safar nahin karta
diya umiid ka tu har ghaḌi jala.e rakh
har ek raat ki kya rab sahar nahin karta
ajab javab tha un ka ‘dinesh’ sochenge
suna tha ishq koi soch kar nahin karta
Leave a Reply