Hua Ashk-E-Gulgun Bahaar-E-Gareban

hua ashk-e-gulgun bahar-e-gareban

ba-rangrag-e-gul hai tar-e-gareban

rahe hai sada chaak matam-kada men

tahayyur nahin ikhtiyar-e-gareban

kabhu haath daman tak us ke na pahuncha

che-jae ki qurb-o-javar-e-gareban

tiri dekh ankhen khajil hogi nargis

jhuka chashm ko hai do-char-e-gareban

bane mauj ro astin gar nichodun

ho girdab har ja fishar-e-gareban

saba kab uthate hain juun nikhat-e-gul

subuk-ruh gardan pe bar-e-gareban

supurd ham ne ab naseha kar diya hai

ba-dast-e-junun karobar-e-gareban

jahan men hai khurshid se subh raushan

ki aata hai tikma ba-kar-e-gareban

gale men hai champa kali ya kisu ke

hain lakht-e-jigar ham-kanar-e-gareban

lagai nahin us ne gote ki magzi

hui barq aa kar nisar-e-gareban

nahin tauq pahne hai qumri ki hai ab

ye zeb-e-gulu-band o har-e-gareban

gulistan men ye moatakif hai jo ab hai

sar-e-ghuncha sohbat barar-e-gareban

‘nasir’ ab yahan chashm-e-sozan hai mahram

z-sar-rishta-hae vaqar-e-gareban

Leave a Comment