hasin taaj ki surat ye be-sada patthar
dikha rahe hain mohabbat ka mo.ajiza patthar
subut-e-sang-dili is se baḌh ke kya hoga
jo phuul phenka miri samt ban gaya patthar
tumhare shahr ko main kyuun na kamrup kahun
ki ik nigah ne mujh ko bana diya patthar
samajh sake na kabhi maslahat zamane ki
bas is qusur pe khaa.e hain barha patthar
karenge ab na gila tum se bevafa.i ka
lo aaj ham ne kaleje pe rakh liya patthar
suna rahe hain kahani vafa-paraston ki
saje hue hain jo maqtal men ja-ba-ja patthar
Leave a Reply