rida-e-jan pe dohra azaab bunta huun
main roz jagti ankhon men ḳhvab bunta huun
ḳhayal-e-husn ki maḳhmal pe tar-e-imkan se
kabhi gulab kabhi mahtab bunta huun
ghubar-e-ḳhatir-e-paiham se bujh bhi ja.un agar
shab-e-siyah men koi aftab bunta huun
libas-e-shauq to muddat ka tar-tar hua
qaba-e-dard pe ab pech-o-tab bunta huun
tilism-e-zulf ki lahren Dubo hi deti hain
kanar-e-sham jab mauj-e-sharab bunta huun
kabhi main bam-e-mah-e-nau pe Dalta huun kamand
kabhi main ḳhema-e-shahr-e-hijab bunta huun
sulag uThe hai jo sahra bhi pa-e-vahshat se
to kar-gah-e-junun par sahab bunta huun
jab ek ḳhvab ka maḳhmal ho tar-tar ‘nadim’
main dasht-e-vahm men phir ik sarab bunta huun
Leave a Reply