ma.ani-taraziyan hain rangin-bayaniyan hain
duniya men jitne munh hain utni kahaniyan hain
ma.ani-taraziyan ya rangin-bayaniyan hain
ye bhi kahaniyan hain vo bhi kahaniyan hain
kya mehrbaniyan thiin kya mehrbaniyan hain
vo bhi kahaniyan thiin ye bhi kahaniyan hain
ik baar us ne mujh ko dekha tha muskura kar
itni si hai haqiqat baaqi kahaniyan hain
sunta hai koi kis ki kis ko suna.e koi
har ek ki zaban par apni kahaniyan hain
kuchh baat hai jo chup huun main sab ki sun ke varna
yaad ai ‘vafa’ mujhe bhi sab ki kahaniyan hain
Leave a Reply