• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kabhi To dekhe Hamari Araq-Fishani dhup

Kabhi To dekhe Hamari Araq-Fishani dhup

poet

kabhi to dekhe hamari araq-fishani dhuup

jale bhavon pe kare apni mehrbani dhuup

hamare daagh ko jab aftab ne dekha

hua ye zard nazar aae zaafrani dhuup

tap-e-firaq vo bad hai chadhe jo suraj ko

pighal ke barf ki surat ho paani paani dhuup

safar saqar hai hazaron balaen sar par hain

hai ek un men se aseb-e-asmani dhuup

tah-e-sahab rahe aftab-e-roz-e-firaq

shuaon se na kare mujh pe tegh-rani dhuup

kate jo raat bhi zakhmi-e-hijr ko to kya

hai maar dalne ko chandni ki saani dhuup

rahe shagufta ham is tarah jaise aag ke phuul

kabhi na dasht-navardi men ham ne paani dhuup

safed baal hue jaise tevar aate hain

bahut zaiif ko dete hai sargirani dhuup

hamen to fasl-e-zamistan bahut khush aati hai

vo thandi thandi hava aur vo suhani dhuup

lagae abr ka lukka na kis tarah chhatri

kare na chand se rangat ko asmani dhuup

ajab nahin gul-e-rukhsar sausani ho jaaen

bahar-e-husn ko hai afat-e-khizani dhuup

amiir shal-doshalon men garm rahat-o-aish

gharib ke liye jadon men zindagani dhuup

zara si garm hava men ye munh banati hain

na kar sakegi gulon ki mizaj-dani dhuup

muvafaqat na kabhi sard-o-garm men hogi

hai chandni miri piiri tiri javani dhuup

shabab yaad dilate hai sar-safedi-e-‘bahr’

hai aftab-e-javani ki ye nishani dhuup

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Silsila Ghamon Ka Na Jaane Kahan Se Hai

Faisla Koi Bulandi Pe Pahunch Kar Hoga

muneer-niyazi

Sapera

Shikast-E-Shisha-E-Dil Ki Dawa Main Kya Karta

Koi Diya Kisi chaukhaT Pe Ab Na Jalne Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet