hanste the mire haal ko jo yaar dekh kar
un sab ne ro diya mujhe bimar dekh kar
sab ham-safir chhod ke tanha chale gae
kunj-e-qafas men mujh ko giraftar dekh kar
kya jaane kya ghazab hai ye jaadu bhari nigah
ghash kar gaya huun main jise yak baar dekh kar
khun-e-jigar ke saath kahin ji chala na jaae
rona zara tu dida-e-khun-bar dekh kar
apne ‘havas’ pe jab se ki tu mehrban hua
jalte hain raat din use aghyar dekh kar
Leave a Reply