khuun men duubi ridaen nahin dekhi jatin
bain karti hui maaen nahin dekhi jatin
khatm hote hue aansu hon ki thamta hua dard
ham se ab aur sazaen nahin dekhi jatin
jaane valon ka bhala kaise tumhen den pursa
khali hathon ki duaen nahin dekhi jatin
marne valon ki sadaen to main sun sakti huun
jiine valon ki karahen nahin dekhi jatin
phuul tode hain bujhae hain mire ghar ke charagh
dushmana teri khataen nahin dekhi jatin
ab to ankhon men dhuan bharne laga hai ‘farhat’
aisi ranjur fazaen nahin dekhi jatin
Leave a Reply