beirut nigar-e-bazm-e-jahan
beirut badil-e-bagh-e-jinan
bachchon ki hansti ankhon ke
jo aaine chakna-chur hue
ab un ke sitaron ki lau se
is shahr ki raten raushan hain
aur rakhshan hai arz-e-labnan
beirut nigar-e-bazm-e-jahan
jo chehre lahu ke ghaze ki
zinat se siva pur-nur hue
ab un ke rangin partav se
is shahr ki galiyan raushan hain
aur taban hai arz-e-labnan
beirut nigar-e-bazm-e-jahan
har viran ghar, har ek khandar
ham pa-e-qasr-e-dara hai
har ghazi rashk-e-askandar
har dukhtar ham-sar-e-laila hai
ye shahr azal se qaaem hai
ye shahr abad tak daaim hai
beirut nigar-e-bazm-e-jahan
beirut badil-e-bagh-e-jinan
Leave a Reply