abhi to yahi dekhna chahta huun
nahin chahta un ko ya chahta huun
vo kahte hain tum mujh se kya chahte ho
yahi kuchh to main janna chahta huun
miri niyaton par nazar rakhne vaalo
ḳhudara bata do main kya chahta huun
na samjha koi jis ko vo harf huun main
ghalat ho gaya huun miTa chahta huun
vo pur-josh aansu vo ḳhamosh aahen
vahi ishq ki ibtida chahta huun
main samjha vo kuchh puchhna chahte hain
vo samjhe ki main kuchh kaha chahta huun
ummidon se dil-e-barbad ko abad karta huun
miTane ke liye duniya na.i ijad karta huun
tiri mi.ad-e-gham puuri hui ai zindagi ḳhush ho
qafas TuuTe na TuuTe men tujhe azad karta huun
jafa-karo miri mazlum ḳhamoshi pe hanste ho
zara Thahro zara dam lo abhi fariyad karta huun
men apne dil ka malik huun mira dil ek basti hai
kabhi abad karta huun kabhi barbad karta huun
mulaqaten bhi hoti hain mulaqaton ke ba.ad aksar
vo mujh ko bhuul jaate hain main un ko yaad karta huun
ḳhudi ki ibtida ye thi ki apne-ap men gum tha
ḳhudi ki intiha ye hai ḳhuda ko yaad karta huun
buton ke ishq men khoya gaya huun varna ai ‘aḳhtar’
ḳhuda shahid hai main aksar ḳhuda ko yaad karta huun
Leave a Reply