rah-e-shauq se ab hata chahta huun
kashish husn ki dekhna chahta huun
koi dil sa dard-ashna chahta huun
rah-e-ishq men rahnuma chahta huun
tujhi se tujhe chhinna chahta huun
ye kya chahta huun ye kya chahta huun
khataon pe jo mujh ko maail kare phir
saza aur aisi saza chahta huun
vo makhmur nazren vo madhosh ankhen
kharab-e-mohabbat hua chahta huun
vo ankhen jhukin vo koi muskuraya
payam-e-mohabbat suna chahta huun
tujhe dhundhta huun tiri justuju hai
maza hai ki khud gum hua chahta huun
ye maujon ki be-tabiyan kaun dekhe
main sahil se ab lautna chahta huun
kahan ka karam aur kaisi inayat
‘majaz’ ab jafa hi jafa chahta huun
Leave a Reply