tark-e-vafa garche sadaqat nahin
par ye sitam sahne ki taqat nahin
tark kar apna bhi ki is raah men
har koi shayan-e-rifaqat nahin
koi dava mujh se ki karta hai lek
ab ke tabibon men hazaqat nahin
kasb-e-hunar kar na ki is vaqt men
is se baḌi aur himaqat nahin
naam hi ‘qa.em’ ka gaya hai nikal
varna kuchh itni to liyaqat nahin
Leave a Reply