but-parasti ke sanam-ḳhane ka asar na toḌ
ka.aba-e-dil mira mast-e-mai-e-pindar na toḌ
ahd-e-misaq ka lazim hai adab ai vaa.iz
hai ye paiman-e-vafa rishta-e-zunnar na toḌ
mohtasib sang pe tu shisha-e-mai ko na paTak
dil-e-rindan-e-mai-asham ko zinhar na toḌ
rahm kar rahm ki ye chashm-e-chaman ka hai charagh
jalva-e-gul se hai zinat use ai yaar na toḌ
tauba karni tujhe vajib hi na thi ai ‘sahir’
vo jo hona tha hua ab use bekar na toḌ
Leave a Reply