har baar mere samne aati rahi ho tum
har baar tum se mil ke bichhadta raha huun main
tum kaun ho ye khud bhi nahin janti ho tum
main kaun huun ye khud bhi nahin janta huun main
tum mujh ko jaan kar hi padi ho azaab men
aur is tarah khud apni saza ban gaya huun main
tum jis zamin par ho main us ka khuda nahin
pas sar-ba-sar aziyyat o azar hi raho
bezar ho gai ho bahut zindagi se tum
jab bas men kuchh nahin hai to bezar hi raho
tum ko yahan ke saaya o partav se kya gharaz
tum apne haq men biich ki divar hi raho
main ibtida-e-ishq se be-mehr hi raha
tum intiha-e-ishq ka meaar hi raho
tum khuun thukti ho ye sun kar khushi hui
is rang is ada men bhi purkar hi raho
main ne ye kab kaha tha mohabbat men hai najat
main ne ye kab kaha tha vafadar hi raho
apni mata-e-naz luta kar mire liye
bazar-e-iltifat men nadar hi raho
jab main tumhen nashat-e-mohabbat na de saka
gham men kabhi sukun-e-rifaqat na de saka
jab mere sab charagh-e-tamanna hava ke hain
jab mere saare khvab kisi bevafa ke hain
phir mujh ko chahne ka tumhen koi haq nahin
tanha karahne ka tumhen koi haq nahin
Leave a Reply