haqiqat hai ki nanha sa diya huun
magar har haal men jalta raha huun
jamal-e-sub.h se na-ashna huun
kisi tarik shab ki bad-dua huun
vo aisa chha gaya hai zehn-o-dil par
jidhar dekhun usi ko dekhta huun
koi to DhunD kar mujh ko nikale
main apne shahr-e-jan men kho gaya huun
jo hai tamsil-e-husn-e-parsa.i
‘vali’ main aisa rind-e-parsa huun
Leave a Reply