junun ḳhud-numa ḳhud-nigar bhi nahin
ḳhirad ki tarah kam-nazar bhi nahin
koi rahzan ka ḳhatar bhi nahin
ki daman men gard-e-safar bhi nahin
yahan hosh-o-iman sabhi luT ga.e
maza ye hai un ki ḳhabar bhi nahin
gham-e-zindagi ik musalsal azaab
gham-e-zindagi se mafar bhi nahin
nazar mo’atabar hai ḳhabar mo’atabar
magar is qadar mo’atabar bhi nahin
tiri anjuman markaz-e-arzu
tiri anjuman men guzar bhi nahin
kahan jaa.en ‘taban’ gunahgar-e-shauq
saza bhi nahin darguzar bhi nahin
Leave a Reply