tujh ko andāze nahīñ raah kī dushvārī ke
ham to qaa.il haiñ tirī qāfila-sālārī ke
ye tire saath meñ rone se khulā hai mujh par
haiñ tirī aañkh meñ sab ashk adākārī ke
bevafā.ī bhī agar kī to batāyā us ko
maiñ ne ādāb nibhā.e haiñ vafādārī ke
jashn maiñ ne bhī manāyā thā shajar kaTne kā
us ne vo fā.ede ginvā.e mujhe aarī ke
dasht kā dasht jin āñkhoñ pe luTā baiThā thā
ham bhī pīchhe the usī āhū-e-tātārī ke
ab mujhe yaad nahīñ pairahan-e-ishq-o-vafā
haañ magar naqsh tire vasl kī gul-kārī ke