uThaega Kab Tu Hijabaat Saqi

uThā.egā kab tū hijābāt saaqī

giraftār mushkil meñ hai zaat saaqī

ye mahsūr kis dā.ere meñ huī huuñ

na din hī mirā na mirī raat saaqī

agar mil ga.e ho to ruk jaao do pal

na jaane ho phir kab mulāqāt saaqī

yahāñ hosh vāloñ kā jiinā hai mushkil

tū le chal hameñ phir ḳharābāt saaqī

tirā mai-kada tere pyāle subūhī

kare koī kaise shikāyāt saaqī

‘sahar’ tū ne āñkhoñ se aisī pilā.ī

na bhūle tirī ham mudārāt saaqī

Leave a Comment