ham to bas ik uqda the hal hone tak
zanjiron men band the pagal hone tak
ishq agar hai diin to phir ho ja.enge
ham bhi murtad is ke mukammal hone tak
main paani tha suraj ghuur raha tha mujhe
kya karta be-bas tha badal hone tak
ab to ḳhair sarab si ḳhuub chamakti hai
aankh thi dariya shahr ke jangal hone tak
mujh men bhi thi tez si ḳhushbu ma.ani ki
mahak raha tha main bhi mohmal hone tak
ab vo meri aankh pe iman laaya hai
dasht hi tha ye dil bhi jal-thal hone tak
jhiil kabhi talab kabhi dariya tha kabhi
mere kya kya ruup the daldal hone tak
Leave a Reply