chala-chal mohlat-e-aram kya hai
musafir aur tera kaam kya hai
hamara vasta hai un ke Dar se
hamen saare jahan se kaam kya hai
tumhara husn to hai ghair-fani
hamare ishq ka anjam kya hai
ḳhuda ka naam lena chahta huun
magar mere ḳhuda ka naam kya hai
svad-e-sham-e-mai-ḳhana salamat
bayaz-e-jama-e-ehram kya hai
tum apne a.ine se puchh lete
hamare ishq par ilzam kya hai
hamen ḳhud rasta chalna na aaya
faraz o past par ilzam kya hai
suno ai ashiyan ke ḳhushk tinko
bahar-e-bagh ka paigham kya hai
ḳhirad ke mas.ale hal karne vaalo
tumhen mere junun se kaam kya hai
ḳhabar ḳhud mauj-e-tufan ko nahin hai
safine ka mire anjam kya hai
ba-rah-e-rast un ko mangta huun
takalluf ka dua men kaam kya hai
had-e-parvaz jab simTi to samjhe
qafas kya ashiyan kya daam kya hai
‘saba’ tark-e-mohabbat kar rahe ho
mohabbat se zaruri kaam kya hai
Leave a Reply