dil se puchha tu kahan hai to kaha tujh ko kya
kis ki zulfon men nihan hai to kaha tujh ko kya
chashm-e-giryan se shab-e-vasl men puchha main ne
ab tu kyuun ashk-fishan hai to kaha tujh ko kya
jab kaha main ne ki niin bolte ho gaali bin
jaan ye kaun zaban hai to kaha tujh ko kya
kahne laaga dil-e-gum-gashta tira hai mujh paas
jab kaha main ne kahan hai to kaha tujh ko kya
jab kaha main ne ki ai jaan tiri surat par
shefta pir-o-javan hai to kaha tujh ko kya
jab kaha main ne ki ai sarv-e-riyaz-e-khubi
kis ka tu afat-e-jan hai to kaha tujh ko kya
dil se ‘bedar’ ne puchha ki tire siine par
kis ke navak ka nishan hai to kaha tujh ko kya
Leave a Reply