sho.alon men gham-e-zat ki jhulsaya hua sa
har paikar-e-ehsas hai murjhaya hua sa
har shaḳhs hai auham ke aaseb ke hathon
sahma hua simTa hua ghabraya hua sa
har zehn jo firdaus-e-taḳhayyul tha kisi din
lagta hai jahannum koi dahkaya hua sa
sadiyon se main jiine ki saza kaaT raha huun
sanson ki salibon pe huun laTkaya hua sa
har shaḳhs hai be-mehri-e-halat se har-dam
ruTha hua biphra hua jhallaya hua sa
sahraon men nafrat ke bhaTakta huun musalsal
do ghunT ko chahat ke huun tarsaya hua sa
kya pa.ega phir vus.at-e-afkar ki ‘rahi’
roTi ke jhamelon men hai uljhaya hua sa
Leave a Reply