dil ki divar men aina rakha tha kis ne
mujh ko pahchante rahne ko kaha tha kis ne
dushman-e-jan tire hathon men to patthar bhi na tha
lazzat-e-khvab ko nam-dida kiya tha kis ne
ab bahut duur nikal jaane ko ji chahta hai
mujh ko jaate hue divana kaha tha kis ne
us ki ankhon men bulava hi na tha sach ye hai
ai shab-e-hijr tujhe saath kiya tha kis ne
anjuman anjuman qisse the hamare kal tak
aaj virani ko ankhon men rakha tha kis ne
naam to us ka bhala sa tha magar yaad nahin
siskiyan le ke tujhe yaad kiya tha kis ne
Leave a Reply