kahāñ hai zindagī bas meñ hamāre
hai bas ye bebasī bas meñ hamāre
hamārā zor chaltā hai isī par
ki hai ye shā.irī bas meñ hamāre
agar ik chiiz par qaabū hai apnā
nahīñ phir dūsrī bas meñ hamāre
hamāre vāste ye bhī bahut hai
jo hai terī kamī bas meñ hamāre
use tā-umr ham rokeñ jo aa.e
kabhī vo sarsarī bas meñ hamāre
lubhā letī hai aksar dil ko ‘nāmī’
hai ḳhvāboñ kī parī bas meñ hamāre