hava ke saath ye kaisa moamla hua hai
bujha chuki thi jise vo diya jala hua hai
huzur aap koi faisla karen to sahi
hain sar jhuke hue darbar bhi laga hua hai
khade hain samne kab se magar nahin padhte
vo ek lafz jo divar par likha hua hai
hai kis ka aks jo dekha hai aine se alag
ye kaisa naqsh hai jo ruuh par bana hua hai
ye kis ka khvab hai tabir ke taaqub men
ye kaisa ashk hai jo khaak men mila hua hai
ye kis ki yaad ki barish men bhigta hai badan
ye kaisa phuul sar-e-shakh-e-jan khila hua hai
sitara tutte dekha to dar gai ‘rahat’
khabar na thi yahi taqdir men likha hua hai
Leave a Reply