koi us zalim ko samjhata nahin
vo sitam karne se baaz aata nahin
dasht-e-gham men kab mira naqsh-e-qadam
har qadam pe aankh dikhlata nahin
dard-e-furqat se zaban danton men hai
kya kahun kuchh bhi kaha jaata nahin
chashm-e-dil se dekh use tu dekh le
chashm-e-zahir se nazar aata nahin
sabr-e-shauq-e-vasl-e-janan kya karun
par laga kar bhi uḌa jaata nahin
kab ḳhayal-e-zulf men har raat ko
dil pe mere saanp lahrata nahin
gul se nisbat kiya tire ruḳhsar ko
ye to vo gul hai jo kumhlata nahin
dard-e-furqat se hai ab honTon pe dam
phir bhi zalim ko taras aata nahin
jaan li hai jalva-e-ruḳhsar ne
qabr ki zulmat se ghabrata nahin
husn ki ḳhuddariyan to dekhiye
be-ḳhudi men bhi vo haath aata nahin
vo nahin aate to nadir kya gala
hosh jab do do dopahar aata nahin
Leave a Reply