paanv rukte hi nahin zehn thaharta hi nahin
koi nashsha hai thakan ka ki utarta hi nahin
din guzarte hain guzarte hi chale jaate hain
ek lamha jo kisi tarah guzarta hi nahin
bhari darvaza-e-ahan ki nahin khul paata
mere siine men ye sannata utarta hi nahin
dast-e-jan se main utha luun use pi luun lekin
dil vo zahrab pyala hai ki bharta hi nahin
kya liye phirta huun main aab sarab ankhon men
dubta hi nahin koi ki ubharta hi nahin
ye pighalti hi nahin shama ki jalti hi nahin
ye bikharta hi nahin dasht ki marta hi nahin
kuchh na kahiye to bhala yuun hi samajhte rahiye
puchh liije to vo aibon se mukarta hi nahin
Leave a Reply