qarz le kar ada nahin karte
sha.ir is ke siva nahin karte
ham kisi ka bhala nahin karte
kaam be-fa.eda nahin karte
ek shadi pe iktifa kar lo
ye ḳhata barha nahin karte
laakh va.ada karenge vo ham se
koi va.ada vafa nahin karte
sukhe peḌon ki tarah ye leader
ham pe saaya zara nahin karte
asman ko zamin likhte hain
log jiddat men kya nahin karte
pairvi kya karenge ‘ghalib’ ki
muft ki jab piya nahin karte
un ko sha.ir nahin kahunga main
jo kisi se jala nahin karte
baal billi ke munDhte hain ‘rahim’
log furqat men kya nahin karte
Leave a Reply