yuun dekh na be-kar ka kaTh-putli tamasha
is daur-e-fusun-kar ka kaTh-putli tamasha
is shahr ka har jhuTa ḳhuda dekh raha hai
haqdar ki dastar ka kaTh-putli tamasha
mat puchh hai kal raat se takrar ki zad men
tasvir se divar ka kaTh-putli tamasha
pazeb ki jhankar pe ab ḳhuub sajega
im-sham bhi bazar ka kaTh-putli tamasha
ḳhamosh nahin ḳhuun men shiddat se ravan hai
maqtal men abhi daar ka kaTh-putli tamasha
aurat ki kahani ho ki ‘rahib’ ka fasana
fankar hai kirdar ka kaTh-putli tamasha
Leave a Reply