ghanghor ghata tuli khadi thi
par buund abhi nahin padi thi
har qatra ke dil men tha ye khatra
nachiz huun main gharib qatra
tar mujh se kisi ka lab na hoga
main aur ki guun na aap joga
kya khet ki main bujhaunga pyaas
apna hi karunga satyanas
khali hathon se kya sakhavat
phiki baton men kya halavat
kis birte pe main karun dileri
main kaun huun kya bisat meri
har qatra ke dil men tha yahi gham
sargoshiyan ho rahi thiin baham
khichdi si ghata men pak rahi thi
kuchh kuchh bijli chamak rahi thi
ik qatra ki tha bada dilavar
himmat ke muhit ka shanavar
faiyyaz o javvad o nek-niyyat
bhadki us ki rag-e-hamiyyat
bola lalkar kar ki aao!
mere pichhe qadam badhao
kar guzro jo ho sake kuchh ehsan
daalo murda zamin men jaan
yaro! ye hachar-machar kahan tak
apni si karo bane jahan tak
mil kar jo karoge jan-fishani
maidan pe pher doge paani
kahta huun ye sab se barmala main
aate ho to aao lo chala main
ye kah ke vo ho gaya ravana
”dushvar hai ji pe khel jana”
har-chand ki tha vo be-bizaat
ki us ne magar badi shujaat
dekhi jurat jo us sakhi ki
do-char ne aur pairvi ki
phir ek ke baad ek lapka
qatra qatra zamin pe tapka
akhir qatron ka bandh gaya taar
barish lagi hone mosla-dhar
paani paani hua bayaban
sairab hue chaman khayaban
thi qaht se paemal khilqat
is menh se hui nihal khilqat
jurat qatra ki kar gai kaam
baaqi hai jahan men aaj tak naam
ai sahibo! qaum ki khabar lo
qatron ka sa ittifaq kar lo
qatron hi se hogi nahr jaari
chal niklengi kashtiyan tumhari
Leave a Reply