tardid-e-ana ishq men karne ka nahin main
ab tark-e-marasim se bhi Darne ka nahin main
zanjir koi la miri vahshat ke barabar
ik tere kahe se to Thaharne ka nahin main
kal raat ajab dasht-e-bala paar kiya hai
sau baar sahar se to sanvarne ka nahin main
kyuun mumlikat-e-ishq se be-daḳhl kiya tha
ab masnad-e-gham se to utarne ka nahin main
dam-bhar ko sahi izn-e-suḳhan chahiye mujh ko
be-saut-o-sada jaan se guzarne ka nahin main
ab chashm-e-tamasha ko jhapakne nahin dena
is baar jo Duuba to ubharne ka nahin main
har shakl hai mujh men miri surat ke alava
ab is se ziyada to nikharne ka nahin main
Leave a Reply