ghariq-e-jalva kisi jalva-gar ko kya dekhe
jo teri dhun men chala rahguzar ko kya dekhe
sahar ke saath hi sar par chaḌha pahaḌ sa din
sar-e-ḳhamida jamal-e-sahar ko kya dekhe
dabe hue hain makin bar-e-sang-e-ahan se
gharib-e-shahr yahan bam-o-dar ko kya dekhe
musafiron ki tarah manzilen safar men hain
kidhar ko jaa.e koi rahguzar ko kya dekhe
lagan hai sab ko siyasat ki dhun hai daulat ki
ab is junun men koi ḳhair-o-shar ko kya dekhe
sukhi huun ghar pe laga kar ḳhulus ki taḳhti
ab aa.e kaun udhar mere ghar ko kya dekhe
na.e nisab men tir-e-nazar ka baab nahin
so charagar mire zaḳhm-e-jigar ko kya dekhe
Leave a Reply