aks paani men agar qaid kiya ja sakta
ain-mumkin tha main us shaḳhs ko apna sakta
kaash kuchh der na palkon pe Thaharti shabnam
main use sabr ka mafhum to samjha sakta
be-sahara koi milta hai to dukh hota hai
main bhi kya huun ki kisi kaam nahin aa sakta
kitni be-sud juda.i hai ki dukh bhi na mila
koi dhoka hi vo deta ki main pachhta sakta
ruThne vaale ki ankhen bhi to pur-nam thiin ‘zafar’
mujh se be-ashk bhala kaise raha ja sakta
Leave a Reply