Jab Ki Idhar Teri Nigah paDi

jab ki īdhar tirī nigāh paḌī

mere hī dil pe merī aah paḌī

be-tarah kuchh mire hī jaatā hai

dil pe hālat ajab tabāh paḌī

tū kare ab nibāh yā na kare

apne zimme to yaañ nibāh paḌī

dam-ba-dam yuuñ jo bad-gumānī hai

kuchh to āshiq kī tujh ko chaah paḌī

tere kūche meñ jaa.e bin na rahe

ab to vaañ kī ‘asar’ ko raah paḌī

Leave a Comment