is qadar musalsal thiin shiddaten judai ki
aaj pahli baar us se main ne bevafai ki
varna ab talak yuun tha khvahishon ki barish men
ya to tuut kar roya ya ghazal-sarai ki
taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat men
aaj un se majburan taaza ashnai ki
ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
tu ne kis ghadi zalim meri ham-navai ki
tark kar chuke qasid ku-e-na-muradan ko
kaun ab khabar laave shahr-e-ashnai ki
tanz o taana o tohmat sab hunar hain naseh ke
aap se koi puchhe ham ne kya burai ki
phir qafas men shor uttha qaidiyon ka aur sayyad
dekhna uda dega phir khabar rihai ki
dukh hua jab us dar par kal ‘faraz’ ko dekha
laakh aib the us men khu na thi gadai ki
Leave a Reply