ham zarre hain ḳhak-e-rahguzar ke
dekho hamen baam se utar ke
chup ho ga.e yuun asiir jaise
jhagḌe the tamam bal-o-par ke
va.ada na dilao yaad un ka
nadim huun ḳhud e’tibar kar ke
ai bad-e-sahar na chheḌ ham ko
ham jaage hue hain rat-bhar ke
shabnam ki tarah hayat ke ḳhvab
kuchh aur nikhar ga.e bikhar ke
jab un ko ḳhayal-e-vaz.a aaya
andaz badal ga.e nazar ke
yuun maut ke muntazir hain ‘baqi’
mil ja.ega chain jaise mar ke
Leave a Reply