kahani ko mukammal jo kare vo baab utha laai
main us ki aankh ke sahil se apne khvab utha laai
khushi meri gavara thi na qismat ko na duniya ko
so main kuchh gham bara-e-khatir-e-ahbab utha laai
hamesha ki tarah sar ko jhukaya us ki khvahish par
andhera khud liya us ke liye mahtab utha laai
samete us ke aansu apne anchal men to jaane kyuun
mujhe aisa laga kuchh gauhar-e-nayab utha laai
mayassar tha na koi khvab in ankhon men rakhne ko
so main in ke liye ashkon ka ik sailab utha laai
Leave a Reply