tuut kar der talak pyaar kiya hai mujh ko
aaj to is ne hi sarshar kiya hai mujh ko
vo mahakta hua jhonka tha ki neze ki ani
chhu ke guzra hai to khun-bar kiya hai mujh ko
main bhi talab ka thahra hua paani tha kabhi
ek patthar ne ravan dhaar kiya hai mujh ko
mujh se ab us ka tadapna nahin dekha jaata
jis ne chalti hui talvar kiya hai mujh ko
main bulandi se use dekh raha huun ‘nashtar’
jis ne pasti ka gunahgar kiya hai mujh ko
Leave a Reply