umr ko karti hain pamal barabar yaden
marne deti hain na jiine ye sitamgar yaden
hain kabhi ḳhun-e-tamanna ki shanavar yaden
shaḳh-e-dil par hain kabhi barg-e-gul-e-tar yaden
himmat-e-koh-kani par bhi kabhi bhari hain
aur tulti hain kabhi nok-e-mizha par yaden
thak ke duniya se agar kijiye ḳhvabon ki talash
niind uḌa deti hain afsane suna kar yaden
raah bhule hue sayyah ko tanha pa kar
luuT leti hain miTa deti hain chhup kar yaden
ahd-e-rafta ke pur-asrar ghane jangal men
phunk kar sehr bana deti hain patthar yaden
koi ḳhud-rafta-o-gum-gashta bhaTakta hai jahan
ajnabi ban ke vahan milti hain akasr yaden
jab bhi maazi ke dayaron se guzar hota hai
kasa-e-chashm liye phirti hain dar-dar yaden
Leave a Reply