kabhi abad karta hai kabhi barbad karta hai
sitam har roz hi vo ik naya ijad karta hai
ham us ki har ada par roz par phaila.e aate hain
nazar ke jaal men paband jo sayyad karta hai
vo kal bhi mo’atabar tha aaj bhi rahbar hamara hai
vo dushman jo vatan ki khokhli buniyad karta hai
usi ke ishq men jalna miri taqdir Thahri hai
mohabbat ki na.i jo bastiyan abad karta hai
main us ke pyaar ke dhagon se apni umr bunta huun
jo mera naam le le kar mujhe barbad karta hai
tazad-e-ishq ka ye khel bhi kitna anokha hai
use ham bhuul jaate hain jo ham ko yaad karta hai
zamana ho gaya lekin ḳhabar lene nahin aaya
jo panchhi roz mere naam par azad karta hai
ajab vo shaḳhs hai us ki mohabbat bhi nirali hai
jo pahle qaid kar ke ba.ad men azad karta hai
main ik muddat se us ke pyaar ki ḳhushbu men jiita huun
‘hasan’ misl-e-hava jo roz mujh ko shaad karta hai
Leave a Reply