kaisa saman kaisi manzil kaisi rah kaisa safar
ham-safar hi jab nahin hai kaise phir hoga safar
nafs-e-ammara se nafs-e-mutma.inna tak ki rah
atishin mausam zamin pur-ḳhar aur tanha safar
hasrat-e-didar aisi faisla-kun thi miri
lamhe bhar men ho gaya ik umr sa lamba safar
pahle manzil samne thi ab nazar se duur hai
jaane kaise kya hua kis moḌ par bhaTka safar
in chaTanon men kahan ye hausla roken mujhe
karta huun ‘javed’ main bhi surat-e-dariya safar
Leave a Reply